woh phir mujh sai bichaR gia
mila tha woh uss din bhi..
usee raastay per........
hamesha ki tarha...
wahi muskuraati ankhain,
wahi shokh sa lehja,
hamesha ki tarha..
per ab sung tha uss k aur koi
manzil thee uss ki aur koi.
kuch dair ruka..
kehnay laga..
"
saath chHoot jaanay sai
maan TooT jaanay sai
dard to hota hai
kisi k biCharnay sai..
raasta badalnay sai
zakham to lagtay hain
ghum to hota hai..
ghum ki shiddat sai
magar koi kabhi marta nahi..
waqt ki rawaani mai...
sub bhool jaatay hain
kitnay hee gehray hon
zakham bhar jaatay hain
zindagi to rukti nahi..
raahi badal jaatay hain"
mai nai nai bai-yaqeen sai nazron sai
kuch dair uss ko daikha tha
kuch bhi na kaha tha
kia kehta.. !?
ro dia tha ....!!
aaj raahon per mila tha
tanha..
akaila..
shayad uss ka bhi raahee bichchar gia tha...
milee nazrain..
kehnay laga..
ab bhi waqt hai..
aao loT chalain...
jin raahon per sai bichChray thay..
aao wahi per loT chalain
zakhmon sai tum bhi chuur ho
dard meray bhi kuch kam nahi
darmaan kurnay inn zakhmon ka..
aao dunya mai puraani
loT chalain...
muntazir tha jaanay kub sai
mai iss lamhay ki aas mai..
rasta daikha kurta tha
her pal uss ki aas mai..
aaj laikin jaanay kion...
keh dia woh sub jo kabhi
socha tuk na tha khawaab mai bhi..
"kitnay hee gehray hon
zakham bhar jaatay hain
zindagi to rukti nahi..
raahi badal jaatay hain"
uss nai bai-yaqeen sai nazron sai
kuch dair ko mujh ko daikha
kuch bhi na kaha
kia kehta.. !?
ro dia ....!!
sun kur shayad yeh socha ho..
yeh such hee to hai k
tareekh khud ko duhraati hai
manzar wahi rehtay hain
kardaar badal jaatay hain....
sur jhukaay
woh rota raha
rota hee raha.....
aur mai..
na janay kion..
palaT gia..
na Chahtay hooway bhi badal gia...
waaday sai apnay mukar gia....
shayad k ab mai thuk gia huun...
ya dunya k rung mai hee rung gia huun!!
jaanay kion..
jaanay kion?
by sahar syed
No comments:
Post a Comment