Saturday, June 14, 2008

Zaroori hai…


Zaroori hai…

Kathin hai raaste magar, chalna zaroori hai
Lamba hai safar magar, tey karna zaroori hai

Apne sapno ko aankhon mein basaaye rakhunga
Aaj inme nami hai to kya hua, kal uska jharna zaroori hai

Hausle hil jaate hai raahon mein aksar
Par gir kar uthne ke liye, girna zaroori hai

Raaton ke sannate itne bhi nahi gehre,
Subah to honi hi hai, thoda intezaar zaroori hai

Iraade behek sakte hai, kadam bhi gumraah ho sakte hai
Manzil paane ka junoon atal hai magar, fir aur kya zaroori hai

Gar vishawas aur ummid saath hai to kuch namumkin nahi,
Aur hai bhi to uska mumkin hona zaroori hai

Jhoom uthega man jab sulajh jaayengi uljhane
Khushiya to milti hai sabko, par unhe rakh paana zaroori hai

Samna karo to Kuch nahi tikta der tak
Mushkile khud-hi to mitne se rahi, unse takrana zaroori hai

Jaanta hoon ki sabra ka imtehaan zaroor hoga
Azmaaish tabhi hoti hai, jab uska hona zaroori hai

Gar haarne ki fikra karu to shaayad abhi haar jaaunga
Mujhe to jeetna hai bas, marne tak ladna zaroori hai

Sirf baaton se kuch saabit nahi hota
Dum hai, to dikhana zaroori hai

Apni awaaz ko dabaneka main nahi aadi
Main zinda hoon aur zindaa nazar aana zaroori hai

No comments: