Saturday, June 21, 2008

Ajab Pagal C lerki hai

Ajab Pagal C lerki hai
Mujhay her khat main likhti hai
"Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN"
mairi baatain sata-ti hain
mairi neendain jagati hain
mairi aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhee teheltay ho?
kisi khamosh rastay se
koi awaaz aati hai?
TheTharti serd raatoN main
tum abb bhee chatt pe jaatay ho?
falak k sab sitarooN ko
mairi baatain sunatay ho?
kitabooN se tumharay ishq main koi kammi aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nammi aai?
Ajab pagal c lerki hai
mujhay her khat main likhti hai......
Jawaban uss ko likhta hooN...
mairi masroofiyat daikho subah se shaam office main
chirag-i-umer jalta hai
phir uss k baad duniya kee
kaee majbooriyan paooN main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
T'ehelnay, jagnay,, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua........naraz hooN shayad
kitabooN se shagaff maira abhi waisay hee qaim hai
ferq itna perra hai abb unahin arsay main perhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
k main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo mairi bohat nakaam rehti hai
mairay din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mairay lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo logg akser gungunatay hain
unhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal c lerki ho
mairi masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aai na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
"tumhain main yaad aati hooN ?"
mairi chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal c lerki hai mujhay phir bhee yeh likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hon?

No comments: